Is duniya me kho se gue hum,
Apna Vajood pehchan na paaye hum
Chubhte hue kaanto me apne seene ko paya har dam,
lahu nikalta raha
laal rang dekhte rahe hum,
kuchi bhi na kar paye hum .
Jab se hosh sambhaala
kuch paane ki chahat me
hamesha mashakkat karte rahe hum
kabhi haasil hua
kabhi nahi
fir bhi haar na maane hum.
Seene me ye kasi chubhan hai
is kaante ke dard se nikalna chahte the hum
fir bhi yeh chubhta raha
is seene se nikaal na paye hum.
Ab bas yahi hai sahaara
kanto ki chubhan me jeena seekh gye hum,
use nikal kar koi fayda nhi,
kyuki inhi kanto se banta he jivan.
No comments:
Post a Comment