Friday, August 8, 2025

History repeats itself.

 Ye baar baar jindagi me ek hi pattern repeat hota hai. Kai bar hua. Fir mane apne ap ko uthaya hai. Kuch logo ne madad kiya mujhe.

Ek bar mere iit delhi ke dost ne madad kiya tha. Us din kafi sad tha. Aur us sal se ek sal ke age ka din tha jab meri job lagi thi. Us din kafi khush tha. 

Job lag gyi. Tata me naukri krne laga. Fir waha bhi ek samah aya jab kuch acha nhi lagta tha. Upsc ki tyri krta tha. 

Fir prelims nhi hua. Kafi sad tha. Job chora aur bhi ach nhi lag rha tha. Fir nayi naukri mili.

State govenrment me supply inspector ki. Marketing officer bhi ise kehte he. Thoda man me khushi mili. Kam krne laga toh aur bhi achha lagne laga. Fir khushi milti rhi. Sapna tha ki aam logo ke liye krna hai. Ye bate bahut ko pasand nhi ayi.

Aaj bhi nhi ati. Aj naukri ko 4 sal hone ja rhe. Jin logo ko ye bat pasand nhi ati wo mujhse door ho jate hain. Rishte bante bante toot jate hain.

Logo ko kaise samjhaun ki main aisa hi hu. Mai galat nhi kar sakta. Bhagwan se hi puchna padega ki unhone asa kyu muhe banya hai.

Par is bat ki khusi he ki is raah par chlane ke liye madad wo karte rhete he. 


No comments:

Post a Comment

Difficult to comprehend.

 It is difficult to understand the reasons behind this.